------------------- Ek ------------------- Jo karm karan jatil hotey ve sarey bhautik hotey jo sahaj aur saral hotey ve sarey daivik hotey manav yun hee bhatakta hai jatil ganit mei ulajhta hai gyan itna saral hota wo dhai aakhar ka he hota hai ham kitne shabd bol jate kabhi pyare kuchh nirale kuchh milte milte aham hotey jab wo kavita ban jatey yun he hamara aakarshan hai roz hota hee rahta hai par us din kuchh nahi hota jab wo sahaj prem ban jata hai ek ras hai jo saral hai wo poorey poorey hotey hai jo jatil mishran hai wo adhoorey hee rahtey hain prakash punj bhi aisa hai thora naram hota hai par ek bindu pe simat kar kagaj havan ho jatey hain sapne bhi jab bahut hotey bina mayaney ke hotey sundar saral sapna ek hota jo desh diwane kar jatey ungli mutthi ki baat purani ye to dikhti rahti hai kabhi bandhe keshuon se bhi yaan kheeche jatey hain baat anekon kee nahi bahuton ko ek karney ki hai bikhrey wo jatil hotey ek karke saral karne ki hai ekta mein saralta hai saralta mein shakti hai jhooth ke koti rang roop satyamev ek ukti hai ------------------- OP / 04-Feb-2008 -------------------