HAM KAISE HO GAYE ------------------------------------------------------------------------------------- ham jaise ho gaye uspe prashn chinh hai hamne jo kaam kia uspe insaniyat khinn hai ............ham kaise ho gaye ham palankarta ho gaye Jisne asamajik ko pala hai hamne jisko kursi pe dala usne maut ko hee dhala hai ............ham kaise ho gaye ham prasiddh ho gaye Jisne chal-chitron ko boya hai hamne jisko puraskaar dia us kahani ne hakikat roya hai ............ham kaise ho gaye ham khush ho gaye Jisne us astitva ko fufkara hai hamne jisko maza samajh ke loota us asahay ne hee hame dutkara hai ............ham kaise ho gaye ham anand ho gaye Jisne us jaam ko pilaya hai hamne bhee jise jeebhar ke pia usne bahut ghar jalaya hai ............ham kaise ho gaye ham shrota ho gaye Jisne usee ko suna jo achcha hai hamne usee ko nakar dia bas wahee ek jo sachcha hai ............ham kaise ho gaye ham mook ho gaye Jisne wahee bola jo kaam ataa hai hamne jisko nahee bola wo fansi begunahon ke naam ataa hai ............ham kaise ho gaye ham pangu ho gaye Jisne wo rasta dekha jo saral hai hamne kitne musafir bhatkaye hamne har amrit ko bola garal hai ............ham kaise ho gaye ham dildaar ho gaye Jisne kitna dil jalaya hai hamne khud ka dil bhee kahan chhora kagaj ke phoolon se use bhi sulgaya hai ............ham kaise ho gaye Har haal mein ham vijeta ho gaye jispe khoonon ka daag hai hamne jo yudh karke lia wo iraqi jhaag hai ............ham kaise ho gaye Ham ulte ho gaye hame shaan hai ulte karm karne kee seedhe ke naam pe ullu seedha kia kahtey hai ismey kya sharm karne kee ............ham kaise ho gaye ............ham kaise ho gaye .................................OP Mishra