Jugnu ---------------------------------------------------------------------------- main bhee ek tara tha main bhee roshni deta tha bagal mein ek tara tha wo bhee roshni deta tha ek din wo jhagar para mujhse wo ulajh para samjhaya, par na wo mana samjhaya, par wo na mana ham itne uljhe ke gir parey ham bhee toote, wo bhee toota aasmaan yun hee dekhta raha bebas nazron se ghoorta raha ham dono ab tak toot chuke the jo bhee tha, khokar lut chuke the main paharon pe kahin gira para wo samudra dhaar mein bah nikla meree thoree roshni bachi thee par ab main bahut chhota tha phir bhee thora thora jalta tha chalte chalte yun hee jalta tha ab jalan do ho gayee ab jalan do ho gayee ek dunia roshan karne kee dujee dil mein lutne kee ek jalan hee theek tha par ab kya kar sakta tha ab wo roshan kaise bunoo ab wo kahani kaise kahooo phir hame kuchh dost mile wo bhee aise hee toote the phir hamne kuchh naya socha hamne chalkar chamakna socha ham jab andhere mein chalte hain log anand mein dhalte hain kahte hain beta, wo raha jugnu beta bhee khush ho jata hai jugnu jugnu kahkar muskata hai jugnu jugnu kahkar muskata hai .................................OP Mishra