Rahee ka gyaan ---------------------------------------------------------------------------------- maine kaha roushan karney ko usney fouran bujha dia Jab maine bujhane kaha to usney aag laga dia gulshan sa aashiyana tha ab jalta hai mera jia chiraag ne chiraag ko jalakar hawan kia waqt ne kinara kia dost pahle hee barbaad the mere aangan ke charo or andhere hee abaad the dukh dikhta tha, dukh hota tha sab dukh hee dukh tha anchahe abhay bhay ka charo or mukh hee mukh tha jalkar swaha jo ho gaya wo musafir ka antim gat tha adhjale jo bach gaye wo aadhe adhoorey rahe unko dukh bhee na mila sukh to lut chuka tha jalne ke path par unka mazil fuk chuka tha ek aah thee jo atkee thee param shunya mein bhatkee thee trishanku kee bhanteee wo adhar mein latak chuka tha gurutva usey gira nahee sakta urdhwa weg use ura nahee sakta shunya paridhi mein fanskar astitva ka saya bacha hua tha aisa hee kuchh aaj jeewan hai bhog rah par hamara mann hai shakti marg par hamara tan hai aur savedanheen hamara dhan hai kaliyug mein aise hee atkan hai kaliyug mein aise hee bhatkan hai kaash ham sadhisht ho jate kaash ham vashishth ho pate chintan sansarik ban gaya hai vichar anant roop le chuka hai is bhav sagar ke madhya mein hamara ant ho chuka hai phir bhee ham jeete hain koshish kartey rahtey hain ham uthkar chal sake ham jalkar jala sake jalna jeewan kee manzil hai chalna jeevan kee jaan in anjanee rahon par yahee hamara gyaan yahee hamara gyaan…. .................................OP Mishra